Wednesday 22 April 2020

Beautiful Gulzar Shayari - Haath Chhute Bhi Toh

Haath Chhute Bhi Toh Rishtey Nahi Chhoda Karte



Haath Chhute Bhi Toh Rishtey Nahi Chhoda Karte
Waqt Ki Shaakh Say Lamhe Nahi Toda Karte


Jis Ki Awaaz Mai Silvat Ho Nigahu Mai Shikan
Aisi Tasveer Ke Tukde Nahí Joda Karté


Gulzar Shayari Haath Chhute Bhi Toh Rishtey Nahi
Haath Chhute Bhi Toh-Gulzar Shayri
Lag Ke Sahil Se Jo Behta Hai Usey Behne Do
Aise Dariya Ka Kabhi Rukh Nahī Moda Karté


Jaagne Par Bhi Nahi Aankh Se Girti Kirchen
Is Tarah Khwaabun Se Aankhe Nahí Phoda Karte


Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thoda Thoda
Jaane Waalu Ke Liye Dil Nahí Moda Karté


Jaa Ke Kohsar Say Sar Maaro Ki Awaaz To Ho
Khasta Diwarun Se Matha Nahí Phoda Karté




Biography: Gulzar is the pen name of famous Oscar-winning Indian film director, lyricist and poet, Sampooran Singh Kalra. He is the recipient of many famous awards including Dadasaheb Phalke Award. He was born on 18 August 1934 in Punjab, British India (Now Punjab, Pakistan).

No comments:

Post a Comment