Haath Chhute Bhi Toh Rishtey Nahi Chhoda Karte
Haath Chhute Bhi Toh Rishtey Nahi Chhoda Karte
Waqt Ki Shaakh Say Lamhe Nahi Toda Karte
Jis Ki Awaaz Mai Silvat Ho Nigahu Mai Shikan
Aisi Tasveer Ke Tukde Nahí Joda Karté
Aise Dariya Ka Kabhi Rukh Nahī Moda Karté
Jaagne Par Bhi Nahi Aankh Se Girti Kirchen
Is Tarah Khwaabun Se Aankhe Nahí Phoda Karte
Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thoda Thoda
Jaane Waalu Ke Liye Dil Nahí Moda Karté
Jaa Ke Kohsar Say Sar Maaro Ki Awaaz To Ho
Khasta Diwarun Se Matha Nahí Phoda Karté
Biography: Gulzar is the pen name of famous Oscar-winning Indian film director, lyricist and poet, Sampooran Singh Kalra. He is the recipient of many famous awards including Dadasaheb Phalke Award. He was born on 18 August 1934 in Punjab, British India (Now Punjab, Pakistan).
No comments:
Post a Comment