Wednesday, 22 April 2020

Usey Bhool Ja Beautiful Shayari by Amjad Islam Amjad

Kahan Aake Rukne The Raaste

Beatiful Shayari by Amjad Islam Amjad


Kahan Aake Rukne The Raaste
Kahan Moad Tha Usey Bhool Ja
Wo Jo Mil Gaya Usey Yaad Rakh
Jo Nahi Mila, Usey Bhool Ja



Wo Tere Naseeb Ki Baarishen
Kisi Aur Chhat Pe Baras Gayi
Dile Be Khabar Meri Baat Sun
Usey Bhool Ja, Usey Bhool Ja



Mai To Ghum Tha Tere Diyan Mai
Teri Aas Tere Gumaan Mai
Sabah Keh Gayi Mere Kaan Mai
Mere Saath Aa, Usay Bhool Ja


Cute Hindi Shayari Usey Bhool Ja by Amjad Islam Amjad
Usey Bhool Jaa Ghazal by Amjad Islam Amjad



Kisi Aankh Mai Nahi Ashq-e-Gham
Tere Baad Kuch Bhi Nahi Hai Kam
Tujhe Zindgi Ne Bhula Diya
Tu Bhi Muskura, Usay Bool Jaa


Na Wo Aankh Hi Teri Aankh Thi
Na Wo Khaab Hi Tera Khaab Tha
Dil-e-Muntazir To Ye Kis Liye
Tera Jaagna, Usay Bool Jaa



Jo Bisaat-e-Jaan Hi Ulat Gaya
Wo Jo Raaste Se Palat Gaya
Usey Rokne Se Hasool Kya
Usay Mat Bula, Usay Bool Jaa

Watch Video:

Beautiful Gulzar Shayari - Haath Chhute Bhi Toh

Haath Chhute Bhi Toh Rishtey Nahi Chhoda Karte



Haath Chhute Bhi Toh Rishtey Nahi Chhoda Karte
Waqt Ki Shaakh Say Lamhe Nahi Toda Karte


Jis Ki Awaaz Mai Silvat Ho Nigahu Mai Shikan
Aisi Tasveer Ke Tukde Nahí Joda Karté


Gulzar Shayari Haath Chhute Bhi Toh Rishtey Nahi
Haath Chhute Bhi Toh-Gulzar Shayri
Lag Ke Sahil Se Jo Behta Hai Usey Behne Do
Aise Dariya Ka Kabhi Rukh Nahī Moda Karté


Jaagne Par Bhi Nahi Aankh Se Girti Kirchen
Is Tarah Khwaabun Se Aankhe Nahí Phoda Karte


Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thoda Thoda
Jaane Waalu Ke Liye Dil Nahí Moda Karté


Jaa Ke Kohsar Say Sar Maaro Ki Awaaz To Ho
Khasta Diwarun Se Matha Nahí Phoda Karté




Biography: Gulzar is the pen name of famous Oscar-winning Indian film director, lyricist and poet, Sampooran Singh Kalra. He is the recipient of many famous awards including Dadasaheb Phalke Award. He was born on 18 August 1934 in Punjab, British India (Now Punjab, Pakistan).

Tuesday, 21 April 2020

Beautiful Hindi Romantic Shayari in English Font

Beautiful Hindi & Urdu Romantic Shayari In English Font

Here are 10 best Romantic Shayari in Hindi & Urdu with English font. Share with your loved ones.

Beautiful Romantic Shayari Written on Picture With Couple in Background.
Beautiful Romantic Shayari
Dil Ki Hasrat Zuban Pe Aane Lagi
Tune Dekha Aur Zindagi Muskurane Lagi
Ye Ishq Ki Inteha Hai Ya Deewangi Meri
Har Soorat Me Soorat Teri Nazar Aane Lagi.


Agar Thak Jaao Kabhi Toh Humse Kahna
Hum Utha Lenge Tumko Apni Baahon Mein
Aap Ek Baar Pyar Karke Toh Dekho Humse
Hum Khushiyan Bichha Denge Aapki Raahon Mein.


Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hain,
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hain,
Diwane Hi To Hai Hum Tumhare,
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hain.


They say "Keep Love In Your Heart." But keeping love in your heart is not enough. You need to show your love before it is too late... kya pata "kal ho na ho."


Ishq Tujhse Karti Hoon Main Zindagi Se Zyada,
Main Darti Nahi Maut Se Teri Judaai Se Zyada,
Chahe To Azmale Kisi Din Mujhko,
Meri Zindagi Mein Kuch Nahi Teri Mohabbat Se Zyada.


Chaahat Ke Yeh Kaise Afsane Huye
Khud Nazron Mein Apni Begane Huye
Kisi Bhi Riste Ka Khayal Nahi Mujhe
Ishq Mein Tere Is Kadar Diwaane Huye.


Ruth Jao Kitna Bhi Mana Lenge,
Dur Jao Kitna Bhi Bula Lenge
Dil Aakhir Dil Hai Sagar Ki Ret To Nhi
Ki Naam Likh Kar Usse Mita Denge.



Khalil Gibran Says, "Life without love is like a tree without blossoms or fruit." So fill your tree of life with blossoms of love. Share these Hindi Romantic Shayari in English Font with your loved ones & make their life blossom as well.


Wo Dil Hi Kya Jo Kabhi Wafa Na Kare,
Tujhe Bhul Kar Jiye Kabhi Khuda Na Kare,
Rahegi Teri Mohabbat Meri Zindagi Bankar,
Wo Baat Aur Hai Agar Zindagi Wafa Na Kare.


Sukun Milta Hai Jab Unse Baat Hoti Hain,
Hajaar Raaton Mein Woh Ek Raat Hoti Hain,
Nigah Uthakar Jab Dekhte Hain Woh Meri Taraf,
Mere Liye Wohi Pal Poori Kaaynat Hoti Hain.


Dil Ki Dhadkan Aur Meri Sada Ho Tum
Meri Pahli Aur Aakhiri Wafa Ho Tum
Chaha Hai Tumhe Chahat Se Badhkar
Meri Chahat Aur Chahat Ki Intehan Ho Tum


Jane Us Shakhs Ko Kaise Ye Hunar Aata Hai,
Raat Hoti Hai To Aakho Me Utar Aata Hai,
Main Us Ke Khayalo Se Bach Ke Kahan Jaaun,
Wo Meri Soch Ke Har Raste Pe Najar Aata Hai.


There is a famous quote on love by Lao Tzu "Being deeply loved by someone gives you strength, while loving someone deeply gives you courage." Show your love by sending this Beautiful Romantic Shayari in Hindi with english font now.
Please comment if you liked this post on Romantic Shayari.

Famous Gulzar Shayari - Shaam Se Aankh Mai

Shaam se aankh mai nami si hai


Shaam se aankh mai nami si hai,
Aaj phir aap ki kami si hai...

Dafn kar do hame ki saans mile,
Nabz kuch dhair se thami si hai...

Kaun pathra gaya hai aankhu mai,
Barf palkun pe kyun jami si hai...

Waqt rehta nahi kahin tik kar,
Aadat is ki bhi aadmi si hai...

Aayiye raaste alag kar le,
Ye zaroorat bhi baahami si hai...

~Gulzar
Shaam se aankh mai shayari by Gulzar
Gulzar Shayri shaam se aankh mai
Read & Share this famous ghazal on social media.

Biography: Gulzar also know as Gulzar Sahab is the pen name of famous Oscar-winning Indian film director, lyricist and poet, Sampooran Singh Kalra. He was born on 18 August 1934 in Punjab, British India (Now Punjab, Pakistan).

Read Next: BEAUTIFUL GULZAR SHAYRI - HAATH CHHUTE BHI TOH RISHTE NAHI CHHODA KARTE